Posts

Showing posts from 2010

~ Soch ~

Soch soch ke sochte hain ki soche kis gehrayi tak; Doobte doobte doob gaye hum samundar ki tanhayi tak Junun-e soch to kum na tha to kyu fir pahunche harjaee talak; Barf ki silli bhi tap gayi aur tap gaye hum garmayi tak Kasbayi sehar ko dhoondhte hum thak gaye kuch iss talak; Aankhon ke aage shab chaya aur kho gaye hum rusvayee tak Boond jo choote nain se to bhige hum angrayee talak; Rusvayee ab dhool gayi khushio ki bharpai tak !!

~ Gham-e-dosti ~

Khud se gilah nahi tha hume par usne shikayat ke mauke diye Dost jise samjhe the hum usne hi masoomi se dhoke diye Jab hui thi shuruat tab dil ne kaha hume baar baar Dosti leti hai barso tab kahi hota hai aitbaar khud ki humne na suni aur aage hum badhte chale Zindagi jab hosh me laayi, to mayusi ke jhonke diye Aaj puchna hai ye khud se, kya wo dost tha kabhi banawati chehre ke piche kya wo chehra tha kabhi Itna keh ke bhi ye harsoo tujhpe yu karta vishwaas kyu Kya gham-e-dosti ne khushian bhi hume roke diye !

~ Sarhad ~

Hum hai sarhad ke iss paar aur tum ho sarhaad ke us paar Dil me hamare bhi wahi dhadhkan hai jo lata hai tumhare dil me pyaar Iss baat ka shaq nahi hume ki hamare beech nahi hai koi takraar Thodi galatfehmi hamare dil me thi aur thode galatfehmi ke the tum shikaar Mohabbat ke hum bhi hai talabgaar aur tum bhi ho mohabbat ke talabgaar Jash-e-azadi kaho ya kaho swantrata diwaas baar baar Sach ye hai ki iss din humne todi thi ghulami ki deewar Aaao chodo purani baton ko aur todd de wo bichi hui deewar yaar the hum, yaar hai aur rahengee sache yaar HAPPY INDEPENDENCE DAY TO ALL !!

~Husn-e-khwab~

Husn-e-khwab ne humse kal raat pucha ek sawaal Kyu tu nachat hai banwre, kaisi hai ye taal shab se subeh ke safar me hai tu kyu jagta hai tu, kisse hai robaroo Parchaii hai samne par darash ko ankhiyan tarsat hai Ye kohra chat jaye bass yahi iss dil ki hasrat hai Aaja tu samne ab palak moonde na reh saku Wo dabi hui aarzoo jab samne aao to keh saku Yahi sochte sochte bass raat ka pehra hata Hosh me aaye to ilm hua; kya thi humne ki khata Soye nahi hum ek arse se; jinke intezaar me Wo har su samne the, tadapte hamare pyaar me Aankhen khuli, savera hua aur humne ye iqrar kiya Haan aap wahi hai jinka humne arson intezaar kiya Kuch der to ho gayi, par ab humne izhaar kiya Haan ye sach hai jana, humne tumse pyaar kiya !!

Rising Sunshine !!

What to write, how to write, mind is free but distant sight Feeling something deep within, how to express, that's the fight Can see the hope, can see the glitter, can see that distant ray Wake up from dreams, its time to scream and do some fair play Life is smooth and it sounds good and it makes me healthy tree But need efforts and remove some dirt so it can just break free So don't you think and don't you blink ; its time to open that eye Time to act and no more fact, realize yourself before you die So something I wrote, before I broke and made that promise to me I will reach zenith, broke all myth and rise as up as I can see

~TRUST~

This feeling, these vibes are so much closer to me Without these my life can never ever be free Yes I did it again, I enjoy being in pain... Trust as a word is such a fab then why it is defined for me as back stab Everytime I put my faith on someone Seems its time for wounds to be redone Yes I did it again I enjoy being in pain... Life is insane and life is numb I am cheated everytime and yet still I am dumb Why cant I be practical and why I have to think from heart In this selfish world, everyone plays, for their good and everyone is smart But I love this blood and I love this rain Yes I did it again I enjoy being in pain... I promise to myself that I will change from now on Only the ones who have been tested will be there and everyone else is gone I have decided my path and who should be in my lane I will be practical now, so that I don't have to say again Yes I did it again I enjoy being in pain...

2010

Saal ke shuruat me kuch sapne phir panapne lage kuch humse humne baatein karin, kuch humse hum hi darne lage Kya hoga, kaise hoga, ye socha pehle humne na kabhi Ab socha hai to khwabon ko, paane ki mehnat hum karne lage Saal naya, dashak naya, kuch sochne ka nazariya naya Apne wajood ka har hissa, hum humse hum hi padhne lage Pyaar, Parivaar aur doston se bhara sansaar Inn khushio se judne,  hum dridh nischay se badhne lage 2010 me, ek parvat upar jane ki pyaas hai Jin Raston pe Lakshya hai, Unn rahon pe hum chalne lage