Posts

Showing posts from 2025

~~RuhVeer~~

Sitaaron se aage, hai yeh naya Aftaab,   Prisha ki duaaon ko jo mila, Rabb ka hai woh jawaab,   Iss aashiyaane ka hai, woh mukammal rubaab,   Haan, woh jiski Ruh Veer hai, woh hai hamara shehzaada nawaab!

Jahan-e-kitab

Husn tum, ishq tum Ishq ki inteha bhi tum Khushi tum, dhadkan bhi tum Dil-e-itr ki hawa ho tum Boond tum, barish bhi tum Toofan-e-garjish ki haya bhi tum Tasavvur ke chalakne se jo nam hui aankhein Uss hasrat-e-didar ki dawa bhi tum Khuda ne baksha hai iss nacheez ko Wo sajda ho tum aur dua bhi tum Dastan-e-ishq ka jab bhi jikr hoga shayar Uss jahan-e-kitab ki inteha ho tum