~ Gham-e-dosti ~

Khud se gilah nahi tha hume par usne shikayat ke mauke diye
Dost jise samjhe the hum usne hi masoomi se dhoke diye

Jab hui thi shuruat tab dil ne kaha hume baar baar
Dosti leti hai barso tab kahi hota hai aitbaar
khud ki humne na suni aur aage hum badhte chale
Zindagi jab hosh me laayi, to mayusi ke jhonke diye

Aaj puchna hai ye khud se, kya wo dost tha kabhi
banawati chehre ke piche kya wo chehra tha kabhi
Itna keh ke bhi ye harsoo tujhpe yu karta vishwaas kyu
Kya gham-e-dosti ne khushian bhi hume roke diye !

Comments

Popular posts from this blog

Jahan-e-kitab

I LOVE YOU