~ Isra-e-zindagi~
Safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
na iska hunar hai na uski khala hai
jo socho to badi door hai ab bhi manzil
wo shaamo ke aanchal me suraj pala hai
Huzoor humne aisi bhi kya intejah ki
jo samandar ke thehrav me zalzala hai
na iska hunar hai na uski khala hai
safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
jo samandar ke thehrav me zalzala hai
na iska hunar hai na uski khala hai
safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
Yu to shaam-o-seher dhundhe unchayio ko
phir bhi na jane har rang kyu dhundhla hai
na iska hunar hai na uski khala hai
safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
Khud ko jo dhundhne me chala yu hi shayar
jana Ruhe ibadat me apna bhala hai
na iska hunar hai na uski khala hai
safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
jana Ruhe ibadat me apna bhala hai
na iska hunar hai na uski khala hai
safar zindagi ka yuhi chalta chala hai
Comments