Posts

Showing posts from October, 2010

~ Soch ~

Soch soch ke sochte hain ki soche kis gehrayi tak; Doobte doobte doob gaye hum samundar ki tanhayi tak Junun-e soch to kum na tha to kyu fir pahunche harjaee talak; Barf ki silli bhi tap gayi aur tap gaye hum garmayi tak Kasbayi sehar ko dhoondhte hum thak gaye kuch iss talak; Aankhon ke aage shab chaya aur kho gaye hum rusvayee tak Boond jo choote nain se to bhige hum angrayee talak; Rusvayee ab dhool gayi khushio ki bharpai tak !!

~ Gham-e-dosti ~

Khud se gilah nahi tha hume par usne shikayat ke mauke diye Dost jise samjhe the hum usne hi masoomi se dhoke diye Jab hui thi shuruat tab dil ne kaha hume baar baar Dosti leti hai barso tab kahi hota hai aitbaar khud ki humne na suni aur aage hum badhte chale Zindagi jab hosh me laayi, to mayusi ke jhonke diye Aaj puchna hai ye khud se, kya wo dost tha kabhi banawati chehre ke piche kya wo chehra tha kabhi Itna keh ke bhi ye harsoo tujhpe yu karta vishwaas kyu Kya gham-e-dosti ne khushian bhi hume roke diye !