~Husn-e-khwab~

Husn-e-khwab ne humse kal raat pucha ek sawaal
Kyu tu nachat hai banwre, kaisi hai ye taal
shab se subeh ke safar me hai tu
kyu jagta hai tu, kisse hai robaroo

Parchaii hai samne par darash ko ankhiyan tarsat hai
Ye kohra chat jaye bass yahi iss dil ki hasrat hai
Aaja tu samne ab palak moonde na reh saku
Wo dabi hui aarzoo jab samne aao to keh saku

Yahi sochte sochte bass raat ka pehra hata
Hosh me aaye to ilm hua; kya thi humne ki khata
Soye nahi hum ek arse se; jinke intezaar me
Wo har su samne the, tadapte hamare pyaar me

Aankhen khuli, savera hua aur humne ye iqrar kiya
Haan aap wahi hai jinka humne arson intezaar kiya
Kuch der to ho gayi, par ab humne izhaar kiya
Haan ye sach hai jana, humne tumse pyaar kiya !!

Comments

The only word for dis composition is "Beautiful"....Very delicate flow of thoughts which have been expressed amazingly with the help of delicate words...!! Simply loved it...!! Cheers!! :)
NG said…
Love it....awesome buddy!!
manik said…
Kya baat bhai...its really nice :-)
Unknown said…
Very penetrative Roh!!! CHeers Bro!
Roh.... said…
Thanks a lot everyone :)

Popular posts from this blog

Jahan-e-kitab

I LOVE YOU