Posts

Jahan-e-kitab

Husn tum, ishq tum Ishq ki inteha bhi tum Khushi tum, dhadkan bhi tum Dil-e-itr ki hawa ho tum Boond tum, barish bhi tum Toofan-e-garjish ki haya bhi tum Tasavvur ke chalakne se jo nam hui aankhein Uss hasrat-e-didar ki dawa bhi tum Khuda ne baksha hai iss nacheez ko Wo sajda ho tum aur dua bhi tum Dastan-e-ishq ka jab bhi jikr hoga shayar Uss jahan-e-kitab ki inteha ho tum

~ Sajda ~

Rab ne jise fursat se banaya hai Us rab ne hi unhe humse milaya hai Lafzon se kaise kare tera husn-o-bayan Tu mere ruh-e-nazar me samaya hai Jab se hui mulakat teri firdaus nazron se Har nigah ko tere rukh se sajaya hai Iss qadar doobe hai tere husne zuhur main Har ek farman me bass tera sarmaya hai Shukriya karte hai uss uparwale ka Jisne tujhe iss ranjhe ki jholi me sajaya hai Zindagi ho gayi hai gulzar apni Jabse tere sajde me humne sir ko jhukaya hai

Love is......

For every lines I write, you are my poetry For every reflection I see, you are my symmetry If love is a wave you are my ocean If life is glitter, you are my bocian You define what friendship is And you define what love could be You define the meaning of what soul connected partner should be Even if we fight, love finds a way You are in my heart all night and day I might have said it multiple times but still I would say You complete me in each and every way !!

~ Heer ~

Zehen me basa paya tujhe Ruh me basi tasveer ban gayi Dil-e-mulaqat se jo mila humko Iss nacheez ki takdir ban gayi ishq ka dhuan aisa ghula kismat ki tu lakeer ban gayi shukriya karta hu uss uparwale ka ki Mujh ranjhe ki tu heer ban gayi

~ Mohabbat ~

Bhor ki lalima me wo tera chehra dikh jana Wo tumse nazren chupake wo tumse nazrein milana Wo har ghari har pal dil milne ka dhunde bahana Haan ye mohabbat hai, ab tumse kya chupana Wo haya ki aahat, wo tera kangna khankana Wo dheeme se kano me aake tera kuch keh jana Wo kano me jhumke , wo palkon ka jhuk jana Haan ye mohabbat hai, ab tumse kya chupana Wo tumse milna aur wo mil ke chup jana wo chupna tumse phir chupke se mil jana wo teri ek hasi pe dil ka chehek jana Haan ye mohabbat hai, ab tumse kya chupana Ishq ki hado ko ab hume hai paar kar jana Jaan le ye jahan sara, jaan le ye zamana Ishq ke dariya me ab humko bhi hai doob jana Haan ye mohabbat hai, ab tumse kya chupana

~Tanha~

Shakho ke patte kuch ruhani seh rahe hai Parvat ke Chalakne ki dastan keh rahe hai Shishe ka khalipan kya usme samaya hai Haste hue chehre se gam-e-ashk beh rahe hai Bhid ka hai wo hissa, naam kyu tanhayee hai Khud me khud ko na samjhe aisi ye ruswayi hai Kagzo ki kashti me mehmaan reh rahe hai Humse hum jo toote to pehchan dheh rahe hai Parvat ke Chalakne ki dastan keh rahe hai

~ Zindagi ~

Zindagi ki asli udaan abhi baaki hai, Zindagi ke kai imtihan abhi baaki hai. Abhi to chadhai shuru ki hai humne, Aage abhi saara aasman baaki hai !!